Wednesday, January 25, 2012

Hawa

aaj mera dil kare ud jayun,
kho jayun is jaha mein,
ho jayu is jahan ki,
ye jahan, ye vaidyan,
ye khubsurat log aur unki khubsurat sharartein,
hain har leela se bhagwan jhanktein,
likh dun itna sara aur kho jayu is jahan ki sundarta mein,
itna sundar banaya, aur mujh is sundar se jahan se rubaru karaya,
mere dil mein hain khushi gud-gudati,
jab mein itne sari thand ke baad dhoop ko mehsus kar pati,
bhagwan sab banaya aapne, sab likha aapne,
ab is sundar hakikat ke bad koi kisi se kya kahe, ko kisi se kya sune,
jo likha tha apne wo ho raha hai,
is sansar ki sundarta ko meri seerat bana do,
is sansar ki sundarta ko mein hamesha sehej payu aisi surat bana do,
ye hawa, ye behati hawa bin chooye, khush kar jati,
ye chehel, ye pehel, bin meri hue, choo jati,
ye dil mein umang, ye dil mein khushi, yeh dil mein shanti, ye hawa se dosti, in sab mein rang jane ka man, in sab mein dub jane ka man.................