kaise jiya jaye bin tere,
ki yeh dil gamgeen hai,
na koi tasveer hai,
no koi manjar hai,
na jeene ki khwaish hai,
jindagi to chalegi hi,
par koi intezaar nahi,
na kashish hai,
na chah hai,
na koi humkadam,
is badi duniya,
mein ek bada si jagah hai,
wo fasla sara mere dil mein dafan hai,
kaise bhula du teri batein,
kaise bhula du teri yaadein,
jis baat ka ilm nahi tha abhi tak,
wo shayad abhi hua hai,
mujhe pyar hua jab,
mera humdum ruth gaya hai,
wo pal, wo lamhe,
nashtar ki tarah chubte hain,
pehle bhi rote the,
abhi bhi rote hain,
ankhon ko ilm nahi,
ki ab dil bhi hai shamil,
kabhi tu manzil tha meri,
aaj meri hai tanhai,
na jeene ki tamana hai,
na pane ki khawaish hai,
bas sab khote jana hai,
aur khud ko mitana hai,
tere bin ruh ne,
bhi ki harjai hai,
tu samne nahi,
bas dard e judai hai...
No comments:
Post a Comment