Haan bas tum ho,
Sabse alag, sab mein alag,
Lekin fir bhi kitne pass,
Jodti sabko, bandhti rishto ko,
Haan tum.
Khilkhilati ho jab to aata hai bachpan,
Ro pado jo kabhi to baras jata sawan,
Gunjti hain dishayein teri awaz se,
Mar miti hai ghatayein tere andaz pe.
Haan tum hi to ho,
Jo kabhi mujhe mujh se milati ho,
Ban ke misri kano mein ghul jati ho,
Aur kabhi ban ke ek bandhan bandh jati ho,
Haan tum.