Friday, March 6, 2009

Safar

Sab rishte jhoothe hai,
Sab naate jhoothe hai,
Phir kyu jeeta hain insaan,
Kyun kamata hai,
Kyu sapne sajata hai,
Kyu pyar karta hai,
Gavana to hota hi hai sab kuch,
Maut se pehle to zindagi ne chode dena hai sath hi,
To phir kyu rishte banata hain insaan,
Zaroori to kuch bhi nahi zindagi jeene ke liye,
Phir rishto aur jarurto mein qaid ho kar kyo jeeta marta hai insaan,
Duniya main caravan to aur bhi hai,duniya mein manzilein to bahu thain,
Par har kisi ki manzil pyar kyo hoti hai,
Kya pyar hai ek bhasha jo samajhta hai har insaan,
To phir kyo dard hota hai,kyu aansu aate hain,
Kya pyar hai ek paudha jis mein sirf katein hain,
Suna tha pyar majhab nahi dekhta,amir gareeb nahi dekhta,pyar tan nahi dekhta,
Pyar sirf man dekhta hai,
To phir ajnabee kyu ho jate hain do log,
Wahi dil lekar jisko mile the,
Wahi dil lekar kyu bichad jaate hain log,
Mil kar bichdna to hai hi,
To phir kyu milte hai log,
Khwabon mein milkar, kyo karee baa kar juda ho jate hain log,
Shayad,
Mil kar bichandna, bichad kar milna,
Ruk kar chlana, chal kar rukna,
Has kar rona, ro kar hasna hi hai Zindagi..

No comments:

Post a Comment