Haan bas tum ho,
Sabse alag, sab mein alag,
Lekin fir bhi kitne pass,
Jodti sabko, bandhti rishto ko,
Haan tum.
Khilkhilati ho jab to aata hai bachpan,
Ro pado jo kabhi to baras jata sawan,
Gunjti hain dishayein teri awaz se,
Mar miti hai ghatayein tere andaz pe.
Haan tum hi to ho,
Jo kabhi mujhe mujh se milati ho,
Ban ke misri kano mein ghul jati ho,
Aur kabhi ban ke ek bandhan bandh jati ho,
Haan tum.
Tuesday, November 24, 2009
Monday, November 23, 2009
whatever
naraz nahi jindagi, bas bikhr si jati hai,
jab chaa jati hai dil par khudgarzi ki ghata,
chali pawan aur titli bana man,
phir jhoomti ghoomti, nachtee doltee
beh chali jindaaagiiiiiiiiiiiiiiiiiii..........
jab chaa jati hai dil par khudgarzi ki ghata,
chali pawan aur titli bana man,
phir jhoomti ghoomti, nachtee doltee
beh chali jindaaagiiiiiiiiiiiiiiiiiii..........
Monday, November 9, 2009
na jaane
na jaane kaise hum kho gaye,
kab log itne apne ho gaye,
salab dabaye man ke angan mein,
unke aalingn mein kho gaye.
rusvai to hai par man ki sachai bhi,
dil ki angdai ne de di hoto ko izzazat,
ab na koi ghutan hai, bas hai ibadat.
ae khuda apne bando par reham karte rehna,
kabhi kisi to kabhi kisi roop mein milte rehna.
kab log itne apne ho gaye,
salab dabaye man ke angan mein,
unke aalingn mein kho gaye.
rusvai to hai par man ki sachai bhi,
dil ki angdai ne de di hoto ko izzazat,
ab na koi ghutan hai, bas hai ibadat.
ae khuda apne bando par reham karte rehna,
kabhi kisi to kabhi kisi roop mein milte rehna.
Subscribe to:
Posts (Atom)